Sunday, October 25, 2009

Knowledge from Mahabharat

Bhishma Share his knowledge with his father after completing his education from different teachers
1.Vidya ka Prasad hai Vinay, Vinay se aatii hai Patrata (Yogyata), patrata se Dhan (Money), Dhan se Dharm kary(Good work), Dharm karya se sukh ki prapti,
2.Hans do pankho se urh sakta hai ek gyan aur dusara karm, yadi Keval gyan hi ka ek pankh hai to, ye vyarth hai is se uran nahee bhar sakte.
3.Karya aarambh karo to karya ke ant par hee visharm lo anytha karya hi tumhara ant kar dega.
4.Karya ka parinam hee batayega karya ka prarambh shubh tha ya ashubha.
5.Pita ki aagya ka palan hee sarvopari hai aur vahee aanand kee sheeri hai
Shikshak se aacharya bada, aacharya se bada pita, pita se bada mata. Aisa kyu? Putra kuputra ho sakata hai par mata kumata nahee, aur maa to pritavi(earth) hoti hai, apni putro se kabhee anyay nahee kartee.

Dronacharya to Arjun:
Yaudha ke do dushman aur do Mitra
Youdha ke do dushman Nidra aur Thakan
Youdha ke do Mitra Prisharam aur savdhanee.

0 comments:

Post a Comment